Filmy Duniya, April 1995
Filmy Duniya : Aapki Zindagi ka sabse behtareen pal ?
Salman : Jab meri mukhya abhineta ke taur par "Maine Pyar Kiya" release hui aur chali bhi khoob.

Filmy Duniya : Aur Sabse Kharab Pal ?
Salman : Ab Kya Bataein, Bura pal bhi yahi tha. Meri picture chali lekin mjhe koi nhi puch rha tha. Meri heroine saara shrey le gayin. Mujhe sirf Media ka samarthan tha, lekin darshak aur film industry ke logon ko nhi lagta tha ki mjhe acting aati hai. Lagbhag 6 mahine ghar par khaali betha raha, Papa ne fir madat ki film dilwane mein.

Filmy Duniya : Fir Aapko "Baaghi" mili ?
Salman : Nhi, "Sanam Bewafa" pehle sign ki thi, lekin "Baaghi" pehle release hui. Jab "Baaghi" nhi chali tou maine Mumbai ke Distributor jo kaafi nuksaan mei tthe, unko "Patthar Ke Phool" kam daam mein dilwayi lekin shayad kismat kharab thi, wo bhi nhi chali.

Filmy Duniya : "Hum Aapke Hain Kaun" ke baad aapki 3
filmein aur Flop ho gayin, aur jin chuninda filmo mein aapko safalta mil
rahi hai wahan abhinay mein koi aur baazi maar le jata hai.
Salman : Media aur alochak tou hamesha dost rahe hain, sabne acha hi likha hai hamesha. Darshak bhi dheere dheere apnane lage hain. Abhi kuch comedy filmein bhi kar raha hoon, ek mein dohri bhumika hai, koshish tou hai kuch acha aur alag karne ki baaki darshak pe hai wo kitna apnate hain.

Filmy Duniya : Aisi Koi Bhumika jisko nibhana aapka sapna hai ?
Salman : Main Kisi bhaari bharkam "Mughal-E-Azam" mein yakeen nhi rakhta, mera pasandida kirdar "Mard" film se "Amitabh Bachchan" ka hai. Main jab bhi apni alag picture likhunga, "Mard" ko jehen mei rakh ke hi likhunga.

Filmy Duniya : "Maine Pyaar Kiya" aur "Hum Aapke Hain Kaun" ke beech aapki kaafi filmein asafal rahi, kya aap nirash the ?
Salman : Nahi, aap bhul rahe hain "Saajan" aur "Sanam Bewafa" achi chali thi.

Filmy Duniya : Lekin "Saajan" mein kahin na kahin "Madhuri"
aur "Sanjay Dutt" ke aage aapko utna shrey nhi mil paya, aapko nahi
lagta ?
Salman : "Saajan" sirf gaano ki wajah se chali thi aur "Sanjay Dutt" bade bhai hain. Unka abhinay aur patr mujhse jyada behtar tthe. Meri aane waali film "Jeet" mein bhi "Sunny Deol" mukhya bhumika mein hain. Jabki "Majhdhaar" "Khamoshi" aur "Auzaar" mein mera ahem kirdar hai. Ye sab chalta rehta hai. Hum koi "Bachchan" nahi hain ki har picture mein chaaye rahen.

Filmy Duniya : Kya Aapko lagta hai wo daur phir se aaega jab ek kalakaar industry pe raaj karega ?
Salman : Main nhi chahta aisa daur kabhi firse aaye. "Amitabh Bachchan" ki shaksiyat kisi aur ko ubharne ke mauka nhi deti thi, lekin humko film chalane ke liye sabko sath lekar chalna hota hai. Unke jaane ke baad daur badal chuka hai, keh sakte hain 1960 ke dashak ki tarah abhinetriyan phir se apni upastithi darj karwa rahi hain aur ye badlav acha hi hai.